Love Feelings

Friday, 2024-05-03, 11:33 AM
Home | Sign Up | Log In Welcome Guest | RSS



Site menu
Section categories
Ahmed Faraz [83]
Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.
wasi shah [35]
Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world.
Mirza Ghalib [30]
Mirza Galib Poetry is loved by urdu poetry lovers around the world. Mirza Ghalib is one of the most popular poets from pakistan. Galib’s primary topic was romance, love and sadness. We have got lots of Galib Shayari collection for our users. Ghalib was born in 1797. He was undoubtedly the most popular urdu poet the world has ever seen. His shayari on love and his shayari on life are known to be the best poetries one can ever find on internet.
Other Poetry [0]
Entries archive
Rate Love Feelings
Rate to Love Feelings
Total of answers: 131
Love Feelings
Statistics
Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz

Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad

Category: Ahmed Faraz | Views: 407 | Added by: Administrator | Date: 2013-03-26 | Comments (0)

Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz

Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay

Category: Ahmed Faraz | Views: 338 | Added by: Administrator | Date: 2013-03-26 | Comments (0)

Jis ko bhi dekha rote howe dekha

"Faraz”

ye muhabbat kisi faqeer ki bad’dua lagti hai mujhe……

Category: Ahmed Faraz | Views: 416 | Added by: Administrator | Date: 2013-03-26 | Comments (0)

Us ne mjy chor diya to kya hua

FARAZ

Main ne b to chor dia tha sara zmana us k liye!

Category: Ahmed Faraz | Views: 348 | Added by: Administrator | Date: 2013-03-26 | Comments (0)

huii hai shaam to aankhon main bas gayaa

phir tuu kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir

tuu bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se

jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon

teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu main jaanataa hon

ke duniyaa tujhe badal degii main maanataa hon ke

aisaa nahiin bazaahir tuu hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai ... Read more »

Category: Ahmed Faraz | Views: 370 | Added by: Administrator | Date: 2013-03-26 | Comments (0)

bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age

ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere age

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age

hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere age

mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere age

sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere age

phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere age

nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age

iman mujhe rok hai jo k ... Read more »

Category: Mirza Ghalib | Views: 610 | Added by: Administrator | Date: 2012-02-01 | Comments (0)

bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona

giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona

wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona

jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona

ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona

le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona

ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona

ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona

haif us char gir ... Read more »

Category: Mirza Ghalib | Views: 548 | Added by: Administrator | Date: 2012-02-01 | Comments (0)

bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai

tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai

sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai

Category: Mirza Ghalib | Views: 351 | Added by: Administrator | Date: 2012-02-01 | Comments (0)

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost

ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost

khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost

ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost

chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

Category: Mirza Ghalib | Views: 464 | Added by: Administrator | Date: 2012-02-01 | Comments (0)

aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise

hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise

phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise

sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise

hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise

darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise

?ghalib? bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise

Category: Mirza Ghalib | Views: 557 | Added by: Administrator | Date: 2012-02-01 | Comments (0)

1 2 3 ... 15 16 »
Login form
Website Translator
Search
Bookmark
Latest Software
Calendar
«  May 2024  »
SuMoTuWeThFrSa
   1234
567891011
12131415161718
19202122232425
262728293031


Copyright by Abdul Rehman © 2011 - 2024