Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.
Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world.
Mirza Galib Poetry is loved by urdu poetry lovers around the world. Mirza Ghalib is one of the most popular poets from pakistan. Galib’s primary topic was romance, love and sadness. We have got lots of Galib Shayari collection for our users. Ghalib was born in 1797. He was undoubtedly the most popular urdu poet the world has ever seen. His shayari on love and his shayari on life are known to be the best poetries one can ever find on internet.
Tumhain Janan Ijazat Hai
K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To
…Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena
Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna
Tumhein Is Ki Ijazat Hai
Mere Sab Khat Jala Dena
Mere Tohfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna
Or
Mita Dena
Tumhain Bilkul Ijazat hai
K Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan
... Read more »
Mohabbat phir mohabat hai?
Kabhi dil se nhi jaati,
Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,
Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,
Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,
Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,
Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,
Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,
Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,
Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati?.
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Hoga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Hoga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hogi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Hoga
…
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Hoga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Hoga.
Hoo Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chhupaya Hoga
Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon
Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do
Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tumko Paon
…
Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon
Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujhse Takraon
Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon…!!!